Top 10 Popular Android Tips & Tricks (2017)

10 Popular Android Tips and Tricks 2017


1. Agar Android Mobile Hang Or Garm Ho Rha Ho To Kya Kare :-

Dosto chahe kitna bhi mehnga ya kitna bhi acha features wala mobile phone lelijiye Hang or Garm hona aam bat hai. Android mobile hang jyadater RAM ke bher jane se hota hai. iske liye sabse sahi upaye ek hi hai ki aapke Android mobile me “CCleaner” app jo ki ek bahut hi chota sa aap hai aapke mobile me hona chahiye. mai aapko btana chahunga ki aise aap jo RAM ko free karne ka dawa karte hain aise play store par bahut hain. lakin wo sab fake hain or aapke mobile par jyada pressure dalte hain jo ki Android mobile ke liye bahut jyada bura effect hai.CCLEANER AppAndroid mobile me Khali ya empty folder ki cookies ko ek dum se saaf kar deta hai. or sabhi tereh ki unnecessary files or cookies ko saaf karke aapke mobile ki speed ko badhata hai. to aap apne mobile ki RAM ko saaf or fresh karne ke liyeCCLEANER appka istemal kare.“CCleaner App Download Kare”

2. Android Mobile Me Data Saving Kaise Kare :-Dosto “2g Ghotale” ke bad 2g internet pack ke dam badh gye hain or badh rhe hain. aise me data saving karna aapke liye bahut jyada faudemand hai. Data saving ke liye mai aapko kuch steps btata hu jinse aap apne Android mobile me data saving kar sakte hain –• Apne Mobile Ki“setting”me jaye.• waha“Data Usages”par click kare.• ab“Mobile Data”me jaye or apni billing Cycle ke din add karde.• aap date to date or wahi apni data limit set kijiye.• jaise agar aapke pas 1GB yani ki 1024 MB data hai to apne graph ko 1024 Mb tak krde.• Ab aap jaise hi Data ending tak aaenge yani ki 900MB ya iske aaspas aaenge to aapka mobile aapko bar bar message dega ki “AAPKA DATA KHATAM HONE KO HAI”.

Ek Android Mobile Me Chahiye 2 WhatsApp :-

Dosto kyonki WhatsApp india me bahut jyada use hone wala messenger hai isliye WhatsApp sabhi Android mobile user use karte hain jo social networking karna pasand karte hain. lakin bahut se log ek mobile me 2 WhatsApp chalana chahte hain wo bhi ek mobile me to koi bat nhi friends ab aap aisa kar sakte hain mtlb ki 2 WhatsApp chala sakte hain.

-


to esliye aap yaha es link par click karke enke bare me jankari pa sakte hain.

GB WhatsApp se ek phone me 2 account chalayie) -


Link- http://funzonexdindia.blogspot.com/2017/02/use-2-whatsapp-account-in-1-mobile-100.html


4. Android Mobile Ke Liye Best Battery Solution :-

Dosto Android mobile ki battery ka jaldi khatam ho jana sabse badi problem hai. agar aapke pas safer me PowerBank nhi to aapmo battery problem ke bare me pta chata hai. aise me ek aap “Greenify” aapki bahut jyada madad kar sakta hai.Mobile me kuch apps apne app chate rahte hain jinse batteryjaldi khatam hoti hi. jab hum Android mobile me kisi aap ka istemal nhi kar rhe hain to bhi aaps Background me chalti rahti hain. aise me Greenify aap aapke un aaps ko background me chalne hi nhi deta jaisse aapki battery life aachi bani rahti hai. aap iske liye Greenify aap ka istemal jarur kijiye –“Greenify App Download Kare.”5. Apps Update Aane Par Kya Kare :-dosto har android user average kam se kam 15 se 20 aaps tojarur se jarur karta hai. Aise me aapko har roj apps update ke notifications milte honge. aap sochte honge ki ab kya kiya jaye ? apps ko update kiya jaye ya nhi ? to mai aapko iske bare me kuch intresting jankari deta hu –Derasal hota kya hai ki sabhi apps Android operating system ke sabhi Android mobile phone ke liye design kiye jate hain. lakin kuch mobile me koi app thik se nhi chal pata ya error show karta hai to company us app ko fir se design kar deti hain jo ki play store par aapko nazar aata hai ki aapke en aaps ka update aachuka hai. aise me aap unhe har roj update karke apna mobile data waste mat kijiye. aap sirf month me ek bar hi apps ko update kijiye.

6.Android Mobile Me Secret Video Record kaise kare :-
Mobile me secret video record karna bahut aasan hai. mai aapko SVR2 apk ko apne Android mobile me install karne ki selah deta hu jaha aap mobile me game khelte hue bhi or koi bhi kam karte hue secret video ko record kar sakte hain.

7. Google Map ki Power Ko Samjhe :-
agar aapke pas Android mobile hai or aapko Google maps ke bare me jayda jankari nhi hai ya aapne google map ka upyog nhi kiya to ye aapki sabse bdi nadani hai. jaydater log google map ka upyog Duri mtlb ki distance ko napne ke liye karte hain. jabki Google map aapko isse bhi kahi jyada btata hai. agar aap kisi Anzan jegeh par hain to ye aapko rasta bta sakta hai. Google map aapko public transport suvidha deta hai. iske sath hi google map aapko OLA or UBER jaisi taxi services se jane ka anumanit kiraya bhi batata hai. agar aapke Android mobile me internet ON hai to ye aapko kisi bhijegeh aapki live position bhi batata hai. Google map app kisi vardan se kam nhi hai.

8. Android Mobile Choori Ho Jaye Tab Kya Kare :-
Android mobile ka kahi kho jana ya chori ho jana bhi ek bahutbadi samshya hai. aise me aap apne personal deta ke chori hone jaise events se darte rahte hain. lakin mai aapko btana chahunga ki aise me aap ghabraye nhi or apne kisi nazdiki internet cafe me jakar Google Android mobile manager me jakar apni mail id or password ko enter karke apne mobile ko khoje. agar aapka mobile on hai to ye aapko aapke mobile ki thik location bta deta hai jaha aapka mobile hai. agar aapko Android mobile device manager ke bare me nhi pta hai to chinta mt kijiye aap iske liye hamare es post ko padhiye –“How To Track Lost Mobile Best Trick 2017 Using Device Manager”

9. Android Mobile Ko Automatically kaise chalaye :-
agar mai aapse kahu ki aap jo aadesh apne mobile ko doge to aapka mobile aapke aadesh ke anusar kam krega, ye bat aapko kaisi lgi. aap soch rhe honge ki kya aisa bhi ho sakta hai. mai aapko btana chahunga ki agar aapke pas ek ache feature wala fast loading mobile phone hai to aap ye kam karsakte hain. eske liye aapko Google Now app download karna hoga. orGoogle nowappme jakar aap “open whatsapp” bolkar whatsapp ko open kar sakte hain. iske liye aapka phone thik thak speed wala hona chahiye.

10. LED Screen ko Mobile ki Screen Kaise Banaye :-

Agar aap ye sochte hain mi aapke Android mobile ki screen kuch badi hoti to ye kuch hed tak sambhav ho sakta hai jo ki aao apne led se kar sakte hain. agar aapka led 15, 21, 32 jitnabhi inch ka hai aap apne Android mobile ko us par chala sakte hain. sabhi Android mobile phone me microHDMIsupport nhi hota lakin sabhi ke sabhiMHLadapter ko supportjarur karte hain. to aap bsMHLadapter orHDMIcable ki madad se apne mobile ko led se connect kijiye or ek bahut jyada aapki led ki screen par games, movies ka maza lijiye.dosto aapko apne Android mobile ke ye popular 11 tips ache lage to comment jarur kare.

Popular Posts